Advertisement

Earn Money Online

Wednesday, March 31, 2010

Ek HI Baat Hai

Jahan Bhi Raho, Ek Hi Baat Hai
Tum Paas Nahi, Ek Hi Baat Hai

Kabhi Bin Tumhare Roya Karte The
Ab Tum Door Ho, Ek Hi Baat Hai

Dil Mein Pehli Si Woh Baat Nahi
Sau Jatan Karo, Ek Hi Baat Hai

Dil Ke Aayine Mein Tumhe Dekh Liya
Ab Jo Bhi Roop Dharo, Ek Hi Baat Hai

Bharam Saare Ab Tumne Kho Diye
Bahaar Ho Ya Khizaan, Ek Hi Baat Hai

Ek Waqt Tha Jab Hum Tum Mila Karte The
Waade Saare Wafa Ke Kiya Karte The

Rishta Chah Ka Tha Jo Tumne Mita Diya
Ab Subah Ho Ya Shaam, Ek Hi Baat Hai

Ab Na Hi Woh Dil Hai Na Hi Tum
Jaisi Bhi Rut Ho, Ek Hi Baat Hai

Bin Tumhare Jeena Bhi Kya Jeena Hai
Zindagi Ho Ya Maut Ho, Ek Hi Baat Hai

CHUPKE CHUPKE RO LENA

Jab Seena Gham Se Bhojal Ho Aur Yaad Kissi Ki Atti Ho
Tab Kamre Mein Band Ho Jana Aur Chupke Chupke Ro Lena

Jab Ankhein Bheegi Ho Jain Aur yaad Mein Meri Bhar Aain
Phir Khud Ko Dhoka Mat Dena Aur Chupke Chupke Ro lena

Jab Palkein Karab Se Mondi Ho Aur sab Samjhein Tum Sote Ho
Tab Moun Par Takeya Rakh Lena Aur Chupke chupke Ro Lena

Yah Duniya Zalim Duniya Hai, Yah baat Buhat Phelay Gi
Tum Sab Ke Samne Chup Rehna Aur Chupke chupke Ro Lena

Jab Barish Chera Dho Dale Aur Ashk Bhi Boondein Lagte Hon
Who Lamha Hargiz Mat Khona Aur Chupke Chupke Ro Lena

Chehray Pe Mere Zulf Ko Philaao Kissi Din

Chehare Pe Mere Zulf Ko Phailaao Kisii Din
Kyaa Roz Garajate Ho Baras Jaao Kisii Din

Raazon Kii Tarah Utaro Mere Dil Men Kisii Shab
Dastak Pe Mere Haath Kii Khul Jaao Kisii Din

Pedon Kii Tarah Husn Kii Baarish Men Nahaa Luun
Baadal Kii Tarah Jhuum Ke Ghir Aao Kisii Din

Khushbuu Kii Tarah Guzaro Mere Dil Kii Galii Se
Phuulon Kii Tarah Mujh Pe Bikhar Jaao Kisii Din

Phir Haath Ko Khairaat Mile Band-E-Qabaa Kii
Phir Lutf-E-Shab- E-Vasl Ko Doharaao Kisii Din

Guzaren Jo Mere Ghar Se To Ruk Jaayen Sitaare
Is Tarah Merii Raat Ko Chamakaao Kisii Din

Main Apanii Har Ik Saans Usii Raat Ko De Duun
Sar Rakh Ke Mere Siine Pe So Jaao Kisii Din

Meri Ankhon Mein...

meri ankon ke smndar men jalan kaisi hai,
phr dilko tarpne ki lagan kesi hai,
barf ke rup men dhal jayege ristey,
mujse pucho mohabbat ki agan kesi hai!

meri ankhon ke samandar mein jalan kaisi hai...
aaj phir dil ko tarapne ki lagan kaisi hai...
ab kisi chhat pe charagon ki qatarein bhi nahin...
ab tere shehar ki galiyon mein ghutan kaisi hai...

baraf ke roop mein dhal jayeinge saare rishtey...
mujh se poochho muhabbat ki agan kaisi hai...
mein tere wisal ki khuwahish ko na marne doonga...
mausam-e-hijar ke lehje mein thakan kaisi hai...

regzaron mein jo banti rahi kaanton ki rida...
us ki majboor si aankhon mein kiran kaisi hai...

Mujhe Masoom si Pagal Larki Pay Taras ata hai
usey dekho to muhabbat mein magan kaisi hai...

KHUD HI HO JAAT HAI ISHQ

Ishq to khud hee ho jaata hai…
Dil bhi apna kho jaata hai…
Jab aisa ho jaata hai…

To dil bekaraar ho jaata hai.
Kyun hota hain humko pyaar…

Mujhko nahi pata yaar.
Itna zaroor pata hai mujhko…
Ek din ye bhi hoga tumko.
Jab hoga tumko pyaar…

Hawa mein udoge tum bhi yaar…
Khush rahoge hardam tum…
Pyaar karoge pyaar se tum.

Aaj tumne jisko dekha hai…
Shayad who hee tumhara apna hai…

Abhi chalega pata nahi…
Intezaar mein rahna har ghadi.

Tuesday, March 30, 2010

Ghazal

Kabhi thak k so gaye hum kabhi raat bhar na soye
Kabhi hans k moonh chupaya kabhi moonh chupa  k roye,                                                       
Meri dastan-e-hasrat wo suna suna k roye
Mere azmany walay mujhy azma k roye,

Shab-e-ghum ki ap beeti jo sunaie anjuman main
Kyie sun k muskuraye kyie muskura k roye,

Main hoon be-watan Musafir mera naam be-kasi hai
Mera koi b nahi hai jo galy laga k roy,

Mere pas se guzar kar mera haal tak na poochha
Main ye kese maan jaon k wo door ja
k roye . . !

Wednesday, March 24, 2010

phir JAAN jao gai

phir "JAAN" jao ge,

K duniya bhar k dukh dil main "SAMONA" kis ko kehte hain,

Meri ankhein,meray chehray ko ek din "GHOR" se dekho,

Magar mat Pochna "WEERAAN" hona kis ko kehte hain,

Tumhara dil kabhi pighle agar "GHAM" ki hararat se

Tumhain maloom ho jaye ga "KHONA" kis ko kehte hain.

Mohabbat

MOHABBAT ki haseen raahon mein aksar main ne dekha hai

Jo sathi sath chalte thay, bichartey main ne dekha hai

Sajatey thay baray hi shoq se khayalon ki haseen dunia main,

Bohat choti si baaton pe ujartey main ne dekha hai

Jo kehte thay k ek pal bin tere hum reh na paen gay

< Samna ab ho to chup chap guzartay, main ne dekha hai >

Jo kehte thay tera rishta zamane bhar se afzal hai

Unhi rishton ko pal bhar mein bikhartey, main ne dekha hai..!

Khuwab

Faqat Khawabon
Se He Nahi Milta Sukoon Sone Ka ¤¤





Kisi Ki Yaad Mein Raat Bhar Jagney Ka Bhi Apna Maza Hai¤¤

koi umeed teray lout anay ki

Koi umeed jo hoti tere loat aane ki,,

Phr na hoti aisi haalat dil dewane ki..

Mein to har haal mein khush rehne ki justaju mein raha,,

Na gayi teri aadat wo sataane ki..

Zindgi jabr-e-musalsal ki tarha kaat raha hoon,,

Nahi deta koi dua bhi mar jaane ki..

Tere sung beeta har lamha yaad aata hai,,

Jab bhi koshish ki tujhe bhulane ki..

Ab to aksar yehi sochta
rehta hoon
"Wasi",,

Tujh ko maangoon ya maangoon dua bhool jaane ki.!!

Udaas

Saahil Udaas Tha K Samandar Udaas Tha,,

Lagta Tha Jaise Saara Manzar Udaas Tha,,

Lotti Falak Se To Bari Dilgeer Thi Dua,,

Ek Khuwab Tootnay Par Muqaddar Udaas Tha,,

Phir Chaand Ko Lagaa Kar Galay Ro Pari Ghatta,,

Aisa Laga Toofan Bhi Falak Par Udaas Tha,,

Meri Tabaahiyon Par Usay Bhi Malaal Tha,,

Aayina Khud Ka Torr K Pathar Udaas Tha,,

Jo Shakhs Shehar Main Sab Hi Ko Hansi Baant'taa Raha,,

Yeh Dil Ussi Ki mehfil Main Jaa Kar Udaas Tha...

Mukaddar

Har kisi k mukaddar main kahan ye pyar bhari mahfilien..,

"faraz"

Kuch log to paida he hote hein tanhai k liye..