Advertisement

Earn Money Online

Monday, September 6, 2010

Ghalib vs Iqbal vs FARAZ

1.(GHALIB)

Ghalib sharab peene De masjid mein beth kr.
Ya wo jagah bta jahan Khuda nahi.


2.(IQBAL)


Masjid Khuda ka ghar hy peene ki jagah nahi.
Kafir ke dil mein ja wahan Khuda nahi.



3.(FARAZ)
Kafir ke Dil Se aya hon ye Dekh kr Faraz.
Khuda mojood hai wahan,
usay pta nahi.

MUHAbBAT Ke THE

Sari duniya k rivajon se adawat ki thi...

Tum ko yad hai jab me ne ik hamaqat ki thi...

Usy razdan samj kr btaya tha hal-e-dil apna,

pr us shakhs ne meri zat se bagawt ki thi.

Jb kisi ki yadon ne ankhon ko bhigoya tha meri...

Maine ek naam ki tsbeeh pe tilawat ki thi...

Us ko chor k hanstey howey ghar aa k'

Itna roey they k ankhon ne qyamat ki thi'

mere ujerny ka sabab jab b kisi ne pocha to,

maine bs itna btaya k "MUHABAT  kI THI"

Haqiqat

Aag k shehr me tinky ki haqiqat kia thi

dasht par phool ka saya tha muhubat kia thi

zakhm the dard tha tanhai thi veerani thi

kia bataon k tere ishq me rahat kia thi

aik muddat hui izhar e muhubat kar k

aj tak soch raha hun k himaqat kia thi

kia bataon k yahan poch rahe hain sub log

wo jo guzri hai mere dil pe qayamat kia thi..

RAB-e-ZUL JALAL

Wo tamam meri hamaqaten jo huen gunah ki chaon men

wo amal ki sari kasaftein jo likhi gayi hain fizaon men

Tere samne hy zarrah zarrah Teri Zaat wakif-e-hal hy

Main bura sahi mjhe bakhsh de mere dil ko sakht malal hy

Meri neend ankhon se door hy mera mazi itna kharab hy

ye karam hy Rab-e-Jahan Tera,
mere hr gunah pe naqab hy

Tuje ikhtiyar hy sb ka sb, mera Tuj se itna swal hy

Tu maaf kr Tu Kareem hy, Tu RAB-e-ZUL JALAL hai
(AAMEEN)

Thursday, June 24, 2010

Dard E Judai

Duwa karna yaro juda ho rahe hai,
Rahi zindagi to fir aaker milenge..
Ager mergaye to duwa karte rehna,
Aansun bahane ki koshish na karna..

A duniya badi bewafa hai samajhna,
Kahin dil lagane ki koshish na karna.
Mere doston zindagi ek safer hai samajhna,
Kahin thaher jane ki koshish na karna.

Danishon ki duniya hai sari,
Alfazon ka mydan hai sara.
Zer aur zaber ko pehechan na pao,
To mydan me aane ki koshish na karna.

Kashti ummidon ki ger sahil na paye,
To khud dub jane ki koshish na karna.
Kadam pe andhera karegi ye duniya,
Kahin dil jalane ki koshish na karma.


Kabhi ro ke muskuraye , kabhi muskura ke roye,
Jab bhi teri yaad aayi tujhe bhula ke roye,
ek tera hi to naam tha jise hazar bar likha,
Jitna likh ke khush hue us se jayada mita ke roye.


Akela sa mehsus karo jab tanhai me,
Yaad meri aye jab judai me,
Mehsus karna tumhare karib hu me,
Jab chahe dekh lena apni hi parchai me.
 
 

Kadam yuhi dagmaga gaye raaste me,
Warna sambhlna hum bhi jaanthe the,
Thokar bhi lagi tho us pathar se,
Jise hum apna mante the.

 

Kaash woh samajthe is dil ki tadap ko,
Tho yun humein ruswa na kiya hotha.
Unki ye berukhi zulm bhi manzoor thi humein,
Bas ek baar humein samaj-liya hotha

Wo roye to bahut, par mujhse muh mod kar roye
Koi majburi hogi to dil tod kar roye
Mere samne kar diye mere tasveer ke tukde
Pata chala mere piche wo unhe jod kar roye

Mere khwabon mein aana aapka kasur tha
Aapse dil lagana hamara kasur tha
Aap aaye the zindagi mein pal do pal ke liye
Aapko zindagi samajh lena hamara kasur tha

Saturday, June 12, 2010

Intezar

Sukhe patte se pyar kar lenge,
hum tuj par aitbaar kar lenge,
tum yeh to kaho hum tumhare hai,
hum zindagi bhar intezaar kar lenge

Kabhi Roye Kabhi Tuj Ko pukara

Sadaye raftegan phir dil se guzri
Nigahe shoq kis manzil se guzri
Kabhi roye kabhi tuj ko poukara
Shabe farqat bari mushkil se guzri
Hawaye suba ne chounka deya yun
Teri aawaz jaise dil se guzri
Mera dil khugare toufan hay warna
Yeh kashti bar bar sahil se guzri...

Ey Khuda

Ey Khuda ..
Ye dharti ye asmaan sab tera hai
Ek aashiya muje bhi dilata to tera kya jata
Sabki jholi bhari hai kushiyo se
Ek choti si kushi mangi, wo agr deta to tera kya jata
Hui hogi koi bhool mujse jiski mili hai muje saja
Agr wo bhul ko tu maaf kar deta to tera kya jata
Jab nahi thi daman me mere teri khudai
To inn sasson ko cheen leta to tera kya jataa

Wednesday, March 31, 2010

Ek HI Baat Hai

Jahan Bhi Raho, Ek Hi Baat Hai
Tum Paas Nahi, Ek Hi Baat Hai

Kabhi Bin Tumhare Roya Karte The
Ab Tum Door Ho, Ek Hi Baat Hai

Dil Mein Pehli Si Woh Baat Nahi
Sau Jatan Karo, Ek Hi Baat Hai

Dil Ke Aayine Mein Tumhe Dekh Liya
Ab Jo Bhi Roop Dharo, Ek Hi Baat Hai

Bharam Saare Ab Tumne Kho Diye
Bahaar Ho Ya Khizaan, Ek Hi Baat Hai

Ek Waqt Tha Jab Hum Tum Mila Karte The
Waade Saare Wafa Ke Kiya Karte The

Rishta Chah Ka Tha Jo Tumne Mita Diya
Ab Subah Ho Ya Shaam, Ek Hi Baat Hai

Ab Na Hi Woh Dil Hai Na Hi Tum
Jaisi Bhi Rut Ho, Ek Hi Baat Hai

Bin Tumhare Jeena Bhi Kya Jeena Hai
Zindagi Ho Ya Maut Ho, Ek Hi Baat Hai

CHUPKE CHUPKE RO LENA

Jab Seena Gham Se Bhojal Ho Aur Yaad Kissi Ki Atti Ho
Tab Kamre Mein Band Ho Jana Aur Chupke Chupke Ro Lena

Jab Ankhein Bheegi Ho Jain Aur yaad Mein Meri Bhar Aain
Phir Khud Ko Dhoka Mat Dena Aur Chupke Chupke Ro lena

Jab Palkein Karab Se Mondi Ho Aur sab Samjhein Tum Sote Ho
Tab Moun Par Takeya Rakh Lena Aur Chupke chupke Ro Lena

Yah Duniya Zalim Duniya Hai, Yah baat Buhat Phelay Gi
Tum Sab Ke Samne Chup Rehna Aur Chupke chupke Ro Lena

Jab Barish Chera Dho Dale Aur Ashk Bhi Boondein Lagte Hon
Who Lamha Hargiz Mat Khona Aur Chupke Chupke Ro Lena

Chehray Pe Mere Zulf Ko Philaao Kissi Din

Chehare Pe Mere Zulf Ko Phailaao Kisii Din
Kyaa Roz Garajate Ho Baras Jaao Kisii Din

Raazon Kii Tarah Utaro Mere Dil Men Kisii Shab
Dastak Pe Mere Haath Kii Khul Jaao Kisii Din

Pedon Kii Tarah Husn Kii Baarish Men Nahaa Luun
Baadal Kii Tarah Jhuum Ke Ghir Aao Kisii Din

Khushbuu Kii Tarah Guzaro Mere Dil Kii Galii Se
Phuulon Kii Tarah Mujh Pe Bikhar Jaao Kisii Din

Phir Haath Ko Khairaat Mile Band-E-Qabaa Kii
Phir Lutf-E-Shab- E-Vasl Ko Doharaao Kisii Din

Guzaren Jo Mere Ghar Se To Ruk Jaayen Sitaare
Is Tarah Merii Raat Ko Chamakaao Kisii Din

Main Apanii Har Ik Saans Usii Raat Ko De Duun
Sar Rakh Ke Mere Siine Pe So Jaao Kisii Din

Meri Ankhon Mein...

meri ankon ke smndar men jalan kaisi hai,
phr dilko tarpne ki lagan kesi hai,
barf ke rup men dhal jayege ristey,
mujse pucho mohabbat ki agan kesi hai!

meri ankhon ke samandar mein jalan kaisi hai...
aaj phir dil ko tarapne ki lagan kaisi hai...
ab kisi chhat pe charagon ki qatarein bhi nahin...
ab tere shehar ki galiyon mein ghutan kaisi hai...

baraf ke roop mein dhal jayeinge saare rishtey...
mujh se poochho muhabbat ki agan kaisi hai...
mein tere wisal ki khuwahish ko na marne doonga...
mausam-e-hijar ke lehje mein thakan kaisi hai...

regzaron mein jo banti rahi kaanton ki rida...
us ki majboor si aankhon mein kiran kaisi hai...

Mujhe Masoom si Pagal Larki Pay Taras ata hai
usey dekho to muhabbat mein magan kaisi hai...

KHUD HI HO JAAT HAI ISHQ

Ishq to khud hee ho jaata hai…
Dil bhi apna kho jaata hai…
Jab aisa ho jaata hai…

To dil bekaraar ho jaata hai.
Kyun hota hain humko pyaar…

Mujhko nahi pata yaar.
Itna zaroor pata hai mujhko…
Ek din ye bhi hoga tumko.
Jab hoga tumko pyaar…

Hawa mein udoge tum bhi yaar…
Khush rahoge hardam tum…
Pyaar karoge pyaar se tum.

Aaj tumne jisko dekha hai…
Shayad who hee tumhara apna hai…

Abhi chalega pata nahi…
Intezaar mein rahna har ghadi.

Tuesday, March 30, 2010

Ghazal

Kabhi thak k so gaye hum kabhi raat bhar na soye
Kabhi hans k moonh chupaya kabhi moonh chupa  k roye,                                                       
Meri dastan-e-hasrat wo suna suna k roye
Mere azmany walay mujhy azma k roye,

Shab-e-ghum ki ap beeti jo sunaie anjuman main
Kyie sun k muskuraye kyie muskura k roye,

Main hoon be-watan Musafir mera naam be-kasi hai
Mera koi b nahi hai jo galy laga k roy,

Mere pas se guzar kar mera haal tak na poochha
Main ye kese maan jaon k wo door ja
k roye . . !

Wednesday, March 24, 2010

phir JAAN jao gai

phir "JAAN" jao ge,

K duniya bhar k dukh dil main "SAMONA" kis ko kehte hain,

Meri ankhein,meray chehray ko ek din "GHOR" se dekho,

Magar mat Pochna "WEERAAN" hona kis ko kehte hain,

Tumhara dil kabhi pighle agar "GHAM" ki hararat se

Tumhain maloom ho jaye ga "KHONA" kis ko kehte hain.

Mohabbat

MOHABBAT ki haseen raahon mein aksar main ne dekha hai

Jo sathi sath chalte thay, bichartey main ne dekha hai

Sajatey thay baray hi shoq se khayalon ki haseen dunia main,

Bohat choti si baaton pe ujartey main ne dekha hai

Jo kehte thay k ek pal bin tere hum reh na paen gay

< Samna ab ho to chup chap guzartay, main ne dekha hai >

Jo kehte thay tera rishta zamane bhar se afzal hai

Unhi rishton ko pal bhar mein bikhartey, main ne dekha hai..!

Khuwab

Faqat Khawabon
Se He Nahi Milta Sukoon Sone Ka ¤¤





Kisi Ki Yaad Mein Raat Bhar Jagney Ka Bhi Apna Maza Hai¤¤

koi umeed teray lout anay ki

Koi umeed jo hoti tere loat aane ki,,

Phr na hoti aisi haalat dil dewane ki..

Mein to har haal mein khush rehne ki justaju mein raha,,

Na gayi teri aadat wo sataane ki..

Zindgi jabr-e-musalsal ki tarha kaat raha hoon,,

Nahi deta koi dua bhi mar jaane ki..

Tere sung beeta har lamha yaad aata hai,,

Jab bhi koshish ki tujhe bhulane ki..

Ab to aksar yehi sochta
rehta hoon
"Wasi",,

Tujh ko maangoon ya maangoon dua bhool jaane ki.!!

Udaas

Saahil Udaas Tha K Samandar Udaas Tha,,

Lagta Tha Jaise Saara Manzar Udaas Tha,,

Lotti Falak Se To Bari Dilgeer Thi Dua,,

Ek Khuwab Tootnay Par Muqaddar Udaas Tha,,

Phir Chaand Ko Lagaa Kar Galay Ro Pari Ghatta,,

Aisa Laga Toofan Bhi Falak Par Udaas Tha,,

Meri Tabaahiyon Par Usay Bhi Malaal Tha,,

Aayina Khud Ka Torr K Pathar Udaas Tha,,

Jo Shakhs Shehar Main Sab Hi Ko Hansi Baant'taa Raha,,

Yeh Dil Ussi Ki mehfil Main Jaa Kar Udaas Tha...

Mukaddar

Har kisi k mukaddar main kahan ye pyar bhari mahfilien..,

"faraz"

Kuch log to paida he hote hein tanhai k liye..

Tuesday, February 16, 2010

Acha lagta hai

"Hoon to khafa us se!!!"
"Per jane phir bhi kyun!!!"
"Na chaah kar bhi usko chahna acha lagta hai!!!"
"Haqeeqat se hoon door!!!"
"Ye mujh ko hai pata!!!"
"Per jan k anjaan rehna acha lagta hai!!!"
"Qaayil nahi main rone ka phir bhi kabhi kabhi!!!"
"Tanhaai main kuch dair rona acha lagta hai!!!"
"Woh mera tha,
woh mera hai,
woh mara rahay ga!!!"
"Kuch pal is khaab main aa jana acha lagta hai"

Jab tere shehr me raha karte the

Jab tere shehr me raha karte the,
Hum b chup chap jiya karte thy,
Log aate thy Ghazal sun-ne
Hum teri baat kia karte thy
Ghar ki deewar sajane ki khatir,
Hum tera naam likha karte thy,
Kal teri tasweer dekhi to yaad aaya "Galib"
Kabhi hum b kisi se mohbat kia karte thy.

MOHABAT Ko ghum samajhte hai

Kuch log"MOHABAT Ko ghum samajhte hai

Jo ghum samajhte hain wo kam samajte hai..
Kesy guzarta hai waqt tery Bina..
Ye koi or nahi sirf hum samjhte hain....

Aik Shair

Ma¡n Doob K Ubhra To Bus Itna H¡ Dekha

Auron K¡ Tarha Tu B¡ K¡naray Pe Kharha Tha...

Friday, February 12, 2010

Dil Se

Tum mujhe bhool kar to dekho,
Har khushi routh jayegi,
Jab akele tum baitho gay,
Khud-ba-khud meri yaad aayegi..

Dil na lagana kisi se hamesa dard hi paaoge,
beete lamhon ko yaad karke rote hii jaooge ,
karni hi hai to karo gehri dosti humse
ummeed se jyada hi paooge

RAAT HUI JAB SHAAM K BAAD
TERI YAAD AAYI HER BAAT K BAAD
HUMNE KHAMOSH REH KER DEKHAA
TERI AWAZ AAYI HAR SAANS K BAAD

TUM KHAFA KYUN HO?

MERI JAAN TUM KHAFA KYUN HO???
TUMHEN MUJH SE GILA KYA HEY??
ACHANAK BE RUKHI ITNI,
BATAO TO HUA KYA HEY??
MANAON KIS TARAH TUM KO??
MUJHE ITNA TO BATA DO??
AGAR AB HO SAKEY TUM SEY,
TO YE AHSAAN FARMA DO,
MERI MANZIL MUHABBAT HEY,
MUJHE MANZIL PAY PHONCHA DO,
TUMHARI ANKHON MEN ANSOO,
MUJHE ACHEY NAHI LAGTEY,
TUMHARE NARM HONTON PAY,
GILEY ACHEY NAHI LAGTEY,
TUMHARE MUSKURANEY SEY,
MERA DIL MUSKURATA HEY,
TUMHARE ROTH JANEY SEY,
MERA DIL TOOT JATA HEY,
MAIN AKSAR SOCHTA YE HUN,
TUM KYUN DIL MAIN BASTEY HO,
KOI TU BAAT HEY TUM MAIN,
JO ITNEY ACHEY LAGTEY HO,
WAFA KEY RANG MEN DEKHO,
JAFA ACHI NAHIN HOTI,
KISI SE ISHQ MAIN ITNI,
ANA ACHI NAHIN HOTI,
CHALO AB MAAN BHI JAO,
BOHAT AB HO CHUKI RANJISH,
KISI DIN AUR KAR LENA,
YE POORI APNI TUM KHOWAISH,
FAQAT KEHNE KI BATEEN HAIN,
NIBHATA KAUN HAI KISKO,
CHALO AB DEKHTE HEN,
MANATA KAUN HAI KIS KO???

RISHTA

Dosti se shuru kiya par kya pata
Kab jodh liya dil se rishta
Aap ise jo bhi samjhe mujhe nahi pata
Duniya aor logon se mera nahi hai waasta
 
Mere dil mere dhadhkan se poocho
Isne kaha rakha hai aapko
Har pal aapki yaad sataati hai
Neend bhi udh jaati chain bhi udh jaati hai
 
Maaf karna hume hum dosti ke badle
Aap se beinteha mohabbat kar baithe
Hume nahi pata kab hua aesa
Humne kab me baandh liya aapse rishta
 
Ab koi jo bhi kahe hum nahi rukenge
Aap se mohabbat hum karte rahenge
Hume yakeen hai ki ek din
aap bhi kahenge jee nahi sakte tum bin

Shyri of The Day



Jaam pe jaam peene se kya fayeda,
Raat guzri to utar jayegi,
Kisi ki aankhon se peeyo khuda ki kasam,
Umr saari nashe mein guzar jayegi.

............ ......... ......... .........
Hum woh nahi jo tum ko ghum main chhod de,
hum woh nahi joh tumse nata tod de,
hum woh hain ki agar teri saanse
ruk jae to tuj se apni sanse jod de.


............ ......... ......... .........


Royengi ye aankhein muskuraane ke baad,
Aayegi raat din dhal jaane ke baad,
Tum kabhi naa ruthnaa mujhse ae yaar,
Shayad ye zindagi hi na ruth jaaye,
Tumhare ruth jaane ke baad.

 

............ ......... ......... .........

Kaash dil ki yeh hasrat puri ho jaye
aap miss call karo aur wo receive ho jaye
sab bhool kar hum ganto kare baatein
Hosh tub aaye jab balance ZEERO ho jaaye

Sunday, February 7, 2010

Chor dety han

Dil dehal jai tou log chor dety han,
koi or mil jai tou log chor dety han,
char din ki chandni ka kya kerna?
chandni dhal jai tou log chor dety han,
qasmain tou khatay han sada sath denay ki,
zehan badal jai tou log chor dety han,
ajkal k logon ka keya bharosa,
mosam badal jai tou log chor dety han,
log mohabat kertay han matlab k leye,
matlab nikal jai tou log chor dety han.

Meri pagal mohabat

Meri pagal mohabat tumhain yad ayege,
jab chand sitaray chamak rahay hon,
jab yadon k phol mehak rahay hon,
jab deed ko nain taras rahay hon,
jab ankhon say ansoo baras rahay hon,
meri pagal mohabat tumhain yad aye ge,
Jab tumhai say dil ghabrai ga,
jab tumahin akela pun sataye ga,
jab koi khowab hi na aye ga,
jab phool kitab mein reh jaiga,
meri pagal mohabat tumhain yad ayege.

Thursday, February 4, 2010

Excellent Dua

 

YA
 
  
tu Humain Ataa kar

Aisi
Muaafi

k jis k baad phir kabhi


Gunah
na ho.


Ya Allah tu Humain Ataa kar


Aisi
Hidayat

k jis k baad phir kabhi


Gumrahi
na ho

tu Humain Ataa kar

Aisi
Raza

k jis k baad phir kabhi

Narazgi
na ho.

tu Humain Ataa kar


Aisi
Rehmat

k jis k baad phir kabhi


Azaab
na ho.

tu Humain Ataa kar


Aisi
Kamyabi

k jis k baad phir kabhi


Nakami
na ho.

tu Humain Ataa kar


Aisi
Izzat

k jis k baad phir kabhi


Zillat
na ho

~:~:~:Ameen:~:~:~:

  
 
 
Please don't hesitate to forward this "Dua" to your near and dears may Almighty "Allah Subhanahu tala "reward you best and keep all of us in the Right path and provide us with success in this world as well as in the hereafter.
(Aameen).

Always..!!!

RememberUs In Your Prayers
 

Maa

 
  
  
  
 
 

Tuesday, January 12, 2010

Yahan Kab Koun Wafaoon Ka Sila Deta Hai

Yahan Kab Koun Wafaoon Ka Sila Deta Hai,
Muskuratay Huay Ek Naya Zakham Deta Hai,

Yeh Ajab dastoor Dekha Hum Nay Zamnay Ka,
Badlay Wafaoon Kay Bewafai Ka Zakham Deta Hai,

Yeh Zurf Shayad Humara Hi Hai Is Zamanay Mein,
Laga Letay Hain Us Ko Bhi Galay Jo Bad-dua Deta Hai,

Bus Aab Na Koi Aur Dost Bana Hussain,
Yahan Har Dost Dosti Mein Daga Deta Hai...

Herat Hai, Waqt Nay Bhi Sikhaya Nahi Tujhay

Herat Hai, Waqt Nay Bhi Sikhaya Nahi Tujhay,
Jeena Hai Kis Tarha, Yeh Bataya Nahi Tujhay,

Misal Gulab Tar Tujhay Rakha Hai Zeest Nay,
Meri Tarha Dukhoon Mein Jalaya Nahi TUjhay,

Mujh Ko Yaqeen Tha Kay Tujhay Roothna Too Hai,
Tu Rooth Bhi Gaya Too Manaya Nahi Tujhay,

Tu Ajnabi Raha, Teray Haq Mein Bhala Hua,
Apnoon Ki Qurbatoon Nay Sataya Nahi Tujhay,

Pighlay Hain Apni Aag Mein Hum Khud, Magar Kabhi,
Us Aatish Junoon Mein Jalaya Nahi Tujhay,

Itnay Thay Dil Garafta Judai Ki Raat Hum,
Apna Koi Bhi Shair Sunaya Nahi Tujhay...

Har Kisi Ko Aa's Mein Rakhnay Ki Aadat Us Ko Thi

Har Kisi Ko Aa's Mein Rakhnay Ki Aadat Us Ko Thi,
Warna Kyoun Matloob Gairoon Ki Rafaqat Us Ko Thi,

Kaisay Kar Leta Gawara Woh Meri Sansoon Ki Aanch,
Un Dino Khud Ko Apnay Saaye Say Bhi Wehshat Us Ko Thi,

Hijar Ki Ek Azmaish Say Ghuzar Janay Kay Baad,
Sari Dunia Say Judai Ki Shikayat Us Ko Thi,

Faislay Ka Haq Usay Hasil Tha Us Nay Kar Liya,
Mujh Say Kab Darkar Koi Bhi Wazahat Us Ko Thi,

Aaik Khasta Haal Shayar Kaisay Aasooda Hua?
Raat Ek Mehfil Mein Us Nuktay Per Herat Us Ko Thi,

Ek Khilona Tornay Kay Wastay Darkar Tha,
Aab Mein Samjha, Kis Liye Meri Zaroorat Us Ko Thi...

Hum Jin Ko Chahtay Thay Woh Pyaray Na Mill Sakay

Hum Jin Ko Chahtay Thay Woh Pyaray Na Mill Sakay,
Haan Dil Milay Zaroor , Sitaray Na Mill Sakay,

Aaik Dosray Ka Saath Diya Dour Dour Tak,
Lakin Kabhi Nadi Kay Kinaray Na Mill Sakay,

Bethay Rahay Hum Aa's Mein Yeh Naqad Jaan Liye,
Lakin IDhar Say Saaf Isharay Na Milll Sakay,

Phir Apni Apni Simt Hameen Loutna Para,
Apas Mein Apni Sooch Kay Dharay Na Mill Sakay,

Yakh Basta Raat Ab Kay Thar-tharatay Huay Kati,
Dil Kay Allao Mein Bhi Shararay Na Mill Sakay...

Aankhoon Say Dil Pighal Gaya, Chouti Si Ek Baat Per

Aankhoon Say Dil Pighal Gaya, Chouti Si Ek Baat Per,
Sara Jahan Badal Gaya , Chouti Si Ek Baat Per,

Niklay Jo Raah Shouq Mein, Hath Mein Haath Day Kay Hum,
Shehar Ka Shehar Jal Gaya, Chouti Si Ek Baat Per,

Yek Dum Khamosh Ho Gaye, Ghungroo Teri Sadaoon Mein,
Lehja Tera Badal Gaya, Chouti Si Ek Baat Per,

Aaik Bagla Dasht Ka, Shehar Mein Dekh Kar Mujhe,
Chehray Per Khak Mal Gaya, Chouti Si Ek Baat Per,

Ghar Ka Sukoon Chour Kay, Koi Tera Shakasta Dil,
Janay Kahan Nikal Gaya, Chouti Si Ek Baat Per,

Raat Woh Uth Kay CHal Diya, Baag Mein Chour Kar Mujhay,
Baraf Mein Jisam Dhul Gaya, Chouti Si Ek Baat Per,...

Aaj Phir Sataye Gi Raat Puray Chand Ki

Aaj Phir Sataye Gi Raat Puray Chand Ki !
Dar Badar Phiraye Gi Raat Puray Chand Ki,

Baam-o-Dar Ki Kaid Mein Roh Phar Pharaye Gi,
Wehshatain Barhaye Gi Raat Puray Chand Ki,

Jiss Taraf Bhi Jaoon Ga Meray Saaye Ki Tarha,
Meray Saath Jaye Gi Raat Puray Chand Ki !

Yeh Samndari Hawa, Us Pe Qarb Ka Nasha,
Kitnay Zulm Dhaye Gi Raat Puray Chand Ki,

Aaisa Lag Raha Hai Aab, TU Agar Bichar Gaya,
Lout Kar Na Aaye Gi Raat Puray Chand Ki,

Roshni Kay Shahar Mein Apni Apni Sej Per,
Subha Tak Jagaye Gi Raat Puray Chand Ki,

Aaj Hi Say Chour Day Mera Haath Warna Phir,
Umer Bhar Rulaye Gi Raat Puray Chand Ki...

Ishq Nay Kya Kya Ranj Sahay Tum Kia Jano

Ishq Nay Kya Kya Ranj Sahay Tum Kia Jano,
Aag Mein Kitnay Phool Khilay Tum Kia Jano,

Hijar Ki Kali Raat Mein Kaisay Kaisay Log,
Khak Mein Mil Kar Khak Huay Tum Kia Jano,

Hum Nay Aaik Tumharay Naam Ki Khushboo Say,
Kitnay Dasht Bahar Kiye Tum Kia Jano,

Apni Kitab Umer Ki Sari Satroon Main,
Hum Nay Kiss Kay Khuab Likhay Tum Kia Jano,

Tum Bichray To Hum Nay Apni Palkoon Per,
Kitnay Darya Rok Liye Tum Kia Jano,

Sur Ki Chaoon Mein Lafz Ki Kaliyan Khilnay Tak,
Hum To Sub Kuch Bhool Gaye Tum Kia Jano...

Woh Dilnawaz Hai Lakin Nazar Shanas Nahi

Woh Dilnawaz Hai Lakin Nazar Shanas Nahi,
Mera Ilaj Meray Chara-e-Gir Kay Pass Nahi,

Tarap Rahay Hain Zubaan Per Kai Sawal Magar,
Meray Liye Koi Shayaan Altamas Nahi,

Teray Jalwoon Mein Bhi Dil Kanp Kanp Uthta Hai,
Meray Mizaj Ko Aasoodgi Bhi Raas Nahi,

Kabhi Kabhi Jo Teray Qurb Mein Ghuzaray Thay,
Aab Un Dinoo Ka Tasawur Bhi Meray Pass Nahi,

Ghuzar Rahay Hain Ajab Marhaloon Say Deeda-o-Dil,
Sehar Ki Aas To Hai Zindagi Ki Aas Nahi,

Mujhay Yeh Dar Hai Teri Aarzoo Na Mit Jaye,
Bohat Dinoo Say Tabiyat Meri Udaas Nahi.

Kisi Kali Nay Bhi Dekha Na Aankh Bhar Kay Mujhay

Kisi Kali Nay Bhi Dekha Na Aankh Bhar Kay Mujhay,
Guzar Gaye Jurs Gul Udas Kar Kay Mujhay,

Mein So Raha Tha Kisi Yaad Kay Shabsattan Mein,
Jaga Kay Chour Gaye Kaflay Sehar Kay Mujhay,

Mein Ro Raha Tha Muqaddar Ki Sakht Rahoon Mein,
Ura Kay Lay Gaye Jadu Tari Nazar Kay Mujhay,

Mein Teray Dard Ki Tagya-ni-youn Mein Doob Gaya,
Kaattay Rahay Taray Ubhar Ubhar Kay Mujhay,

Taray Farak Ki Rateen Kabhi Na Bhooleen Gi,
Mazay Milay Unhain Raatoon Mein Umer Bhar Kay Mujhay,

Zara Si Dair Teharnay Day Aay Ghum-e-Dunia,
Bula Raha Hai Koi Baam Say Utaar Kay Mujhay,

Phir Aaj Aaye Thi Aaik Mojaa Hawa-e-tarab,
Suna Gaye Hai Fasanay Idhar Udhar Kay Mujhay.

Yeh Khush Nazri Khush Nazar Annay Kay Liye Hai

Yeh Khush Nazri Khush Nazar Annay Kay Liye Hai,
Andar Ki Udaasi Ko Chupanay Kay Liye Hai,

Mein Saath Kisi Kay Bhi Sahi Pass Hoon Teray,
Sab Darbadri Aaik Thikanay Kay Liye Hai,

Tootay Huay Khuaboon Say Uthai Hui Deewar,
Ek Aakhri Sapnay Ko Bachanay Kay Liye Hai,

Is Raah Pe Ek Umer Ghuzar Aaye To Dekha,
Yeh Raah Faqat Lout Kay Janay Kay Liye Hai,

Reh Reh Kay Koi Khaak Ura Jata Hai Mujh Mein,
Kiya Dasht Hai Aur Kaisay Gawanay Kay Liye Hai,

Tujh Ko Nahi Maloom Kay Mein Jaan Chuka Hoon,
Tu Saath Faqat Saath Nibhanay Kay Liye Hai,

Tu Nasal Hawa Say Hai Bhala Tujh Ko Khabar Kiya!
Woh Dukh Jo Chiragoon Kay Kay Ghar Kay Liye Hai...

Tery Ikhlas Sey Mohabbat Ki Hay

Tery Ikhlas Sey Mohabbat Ki Hay
Tery Ehsas Sey Mohabbat Ki Hay
Tu Mery Pass Nahi Hay
Phir Bhi Teri Yaad Sey Mohabbat Ki Hay
Main Tum Ko Kis Tarha Bhool Sakti Hoon
Main Ne Tery Osaaf Sey Mohabbat Ki Hay
Kabhi To Tu Ney Bhi Mujhe Yaad Kia Ho Ga
Main Ne Un Lamhat Sey Mohabbat Ki Hay
Jin Main mei Hoon Sirf Teri Or Meri Batain
Main Ney Un Oqaat Sey Mohabbat Ki Hay
Or Jo Mehke Hain Sirf Tery Hi Mohabbat Sey
Main Ne Un Jazbat Sey Mohabbat Ki Hay
Tuj Sey Milna To Ab Khawab Sa Lagta Hay
Main Ney Tery Intezar Se Muhabt Ki Hai.

Mujhay ab yaad mat kerna

Mujhay ab yaad mat kerna
Kabhi bhi yaad mat kerna
naya jo saal aye ga
Kai khushiyan bhi laye ga
inn khushiyon ko ab barbaad mat kerna
Mujhay ab yaad mat kerna
Kabhi bhi yaad mat kerna
go gher maloom ho mera
mager jab koi poochay to
to tum izhaar mat kerna
Mujhay ab yaad mat kerna
Kabhi bhi yaad mat kerna
mujhay haan yaad kernay say
ho izafa teri sochon main
mujhay ab apni sochon main shumaar mat kerna
Mujhay ab yaad mat kerna

Special Poetry On Birth Day

Ab Kay Bar Kuch Aisa Karna
Apnay Pichlay Mah-o-Saal Kay
Dukh Sukh Likh Kar Andaza Karna
Bhooli Basree Yadeen Taza Karna
Sada Sa Ik Kaghaz Lay Kar
Bhoolay Basray Pal Likh Laana
Apnay Saray Kal Likh Laana
Phir Is Beetay Ik Ik Pal Ka
Apnay Guzray Ik Ik Kal ka
Ik Ik More Ka a-Hata Karna
Saray Dost Akhatay Karna
Sari Subhain Hazar Rakhna
Sari Shamain Pas Bulana
Saray Mosam Dheen Main Rakhna
Ik Ik Yaad Guman Main Rakhna
Phir Mohtat k-yas Lagana
Gar Khoshian Barah Ja-ain To
To Phir Tum Ko Meri Taraf Say
Ainay Walay Sall Mubarik
Or Agar Gham Barah Jaian To
Mat Bekar Takallaf Karna
Dekho Phir Tum Aisa Karna
Meri Khoshian Tum Lay Leena
Mujh Ko Apnay Gham Day Deena
AB KAY BAR KUCH AISA KARNA


Happy Birth Day

tumay mana nahe ker saktay na

tumay mana nahe ker skty  na:)
Tum meri yaad ho mere pass ao tou koi baat bane
Tum meri jaan ho yoon zindagi mein ao tou koi baat bane
Tumhari yaad mein guzra har lamha mere din ko mehkata hai
Khushboo banke meri sanson ko mehkao tou koi baat bane
Mein duniya ki nahi karta parwah tumko jab yaad karta hoon
Kabhi tum bhi ruswayion ko gale se lagao tou koi baaat bane 
Raqeebon ko tumhare bare mein yoon batana accha nahi lagta
Kabhi khud bhi aao mere haal pe hans jao tou koi baat bane
Kabhi rootha nahi hoon tumse mein iss tarhan se ke
Mein tumse rooth jaoon aur tum mujhko manao tou koi baat abne
Humesha khuda se hi tumko manga hai sham-o-seher
Dua ko haath uthayein saamne tumhe payein tou koi baat bane
Qalam rukta nahai hai yaad ka darya beh jata hai
Kabhi tum bhi iss mein doob jao tou koi baat bane...