Main saahil pey likhee hoee ibaarat nahee
Jo lehron se mit jaati hay
Main baarish ki barasti boond nahee
Jo baras ker tham jaati hay
Main khwab nahee
Jisey dekha aur bhula day
Main shama nahee
Jisey phoonka aur bujha day
Main hawa ka jhonka nahee
Jo aaya aur guzar gaya
Main chand bhi nahee
Jo raat k baad dhal jaye
Main to who ahsaas hoon
Jo tujh main lahoo ban ker gardish karay
Main to who rang hoon
Jo teray dil pay charay to kabhi na mitay
Main who geet hoon
Jo teray labon se juda na hoga
Khwab,ibaarat, hawa ki tarah
Chand,boond, shama ki tarah
Meray mitnay ka sawaal nahee
Kyunkay MÄÏN TÖ MÖHÄßßÄT HÖÖN
Aur Mohabbat Koi Zawaal Nahee....!!! !
No comments:
Post a Comment